Kabhi Pyase Ko Paani Pilaya Nahi

Kabhi Pyase Ko Paani Pilaya Nahi,
Baad Amrit Pilane Se Kya Fayada
Kabhi Girte Hueko Uthaya Nahi
Baad Ansoo Bahane Se Kya Fayada
Kabhi Pyase Ko Paani …..

Mein To Mandir Gaya, Puja Arti Ki,
Puja Karte Hue Yeh Khayal Aa Gaya (2)
Kabhi Ma Baap Ki Seva Ki Hi Nahi
Sirf Puja Ke Karne Se Kya Fayada
Kabhi Pyase Ko Paani …..

Mein To Satsang Gaya, Guruwani Suni,
Guruwani Ko Sunke Khayal Aa Gaya (2)
Janma Manav Ka Leke Daya Na Kari
Fir Manav Kehla Ne Se Kya Fayada
Kabhi Pyase Ko Paani …..

Meine Daan Kiya, Meine Jap-Tap Kiya
Daan Karte Hue Yeh Khayal AA Gaya (2)
Kabhi Bhuke Ko Bhojaan Khilaya Nahi
Daan Lakho Ka Kar Ne Se Kya Fayada
Kabhi Pyase Ko Paani …..

Ganga Nahane Haridwar, Kasi Gaya
Ganga Nahete Hi Man Me Khayal Aa Gaya (2)
Tan Ko Dhoya Magar Man Ko Dhoya Nahi
Fir Ganga-Nahanese Kya Fayada
Kabhi Pyase Ko Paani …..

Meine Vaid Padhe, Meine Shastra Padhe
Shastra Padhte Hue Yeh Khayal Aa Gaya (2)
Meine Gyan Kisiko Bata Nahi
Fir Gyani Kahelane Se Kya Fayada
Kabhi Pyase Ko Paani …..

Matpita Ke Hi Charno Me Charo Dham He
Aajaa, Aajaa Yehi Mukti Ka Dham He (2)
Pita Mata Ki Seva Ki Hi Nahi
Phir Tirtho Mein Janese Kya Fayada
Kabhi Pyase Ko Paani …..

Kabhi Pyase Ko Paani Pilaya Nahi,
Baad Amrit Pilane Se Kya Fayada